Taaziye Ki Haqeeqat Taaziyadari Aur Aala Hazrat
Dosto Aaiye Jaante Hain Taaziyadari Ke Mutalliq Huzoor Sayyadi W Mirshidi Aala Hazrat AlayhirRahma Ka Najariya Kya Hai??
{1}SAWAL:
Taziya banana aur dekhna kaisa hai ?
JAWAB:
sayyedi sarkar Aala hazrat irshad farmate hain, taziya ma.asiyat hai taziya banana dekhna jaez nahi-
📝
(Fatawa Razwiya) Jild 16 Page 155 / Jild 24 Page 489
{2} SAWAL:
Shara.a men taziye ki asal kya hai ?
JAWAB:
Faramane Aala hazrat :
Taziya mamnu hai shara.a men kuch asl nahi aur jo kuch bid'at unke sath ki jati hai sakht na jaez hai-
📝
(Fatawa Razviya)
Jild 24 Page 490
{3}SAWAL:
Kya taziya banana kufr o shirk hai?
JAWAB:
Aala hazrat رضى الله عنه farmate hain:
Taziya zaroor najaez o bid.at hai magr hasha kufr nahi -
mazeed ek maqam par farmaya,
taziya banana shirk nahi ye wahabiya ka khayal hai han bid'at gunah hai -
واللہ تعالی اعلم
📝
Fatawa Razviya
Jild 21 Page 221
Jild 24 Page 503
{4}SAWAL:
tajeem karna taziye ki shar.an kaisa hai ؟
JAWAB:
Aala hazrat
رضى الله عنه
farmate hain, taziya banana dekhna jaez nahi aur ta'jeem o aqidat sakht haram w ashad bid.at- allah ta.ala musalman bhaiyon aur bahno ko raahe haq ki hidayat farmae - ameen
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 489
{5}SAWAL:
taziye par mannat manna kaisa hai?
JAWAB:
Aala hazrat
رضی اللہ عنہ
farmate hain: Taziya par mannat manna batil o najaez hai-
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 501
{6}SAWAL:
Kya taziya ke zarie hajaten puri hoti hain?
JAWAB:
Aala hazrat farmate hain: Taziya ko hajat rawa yani zariya e hajat rawa samajhna jihalat par jihalat hai
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 499
{7}SAWAL
Suna hai agar kisi ne taziya banane ki mannat mani to zarur banana chahiye warna nuqsan hoga , kya ye baat durust hai ?
JAWAB:
Aala hazrat farmate hain taziya banana bid.at o gunah hai (lehaza ) na karne ko baaise nuqsan khayal karna zanana e waham hai musalman ko aisi harkaat se ba.az Aana chahiye-
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 499/503
{8}SAWAL:
agar koi musalman taziya banae to kitna gunah hai?
JAWAB:
Aala hazrat farmate hain, bid.at ka jo gunah hai woh hai, gunah ki naap tol dunya men nahi-
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 501/510
{9}SAWAL:
taziya banane walon ko taziya banane ke liye chanda dena ya taziya banane men madad karna kaisa hai ?
JAWAB:
Aala hazrat farmate hain taziya me kisi qism ki imdad jaez nahi -allah ta.ala ne farmaya:
ولا تعاونو علی الاثم والعدوان ( پ 6سورۃالمائدہ: 3
gunah aur ziyadati ke muamlat men ek dusre ki madad na kiya karo _
Mazid farmate hain, alam , taziye men jo kuch sarf hota hai sab israaf o haram hai
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 505
{10}SAWAL:
Taziye par Jo mithaai chadhai jati hai , kya usko kha sakte hain ?
JAWAB:
Aala hazrat farmate hain,
taziya par jo mithai chadhai jati hai agarche haram nahi ho jati magar uske khane me jahilon ki nazar men ek amr (kaam) e najaez shara.i ki wuq.at badhane aur uske tark (chhod) men us se nafrat dilai hai lehaza na khai jae
📝
Fatawa Razviya
49
{11}SAWAL:
alam taziya dekhne ke liye nikalna kaisa hai ؟
JAWAB:
Aala hazrat farmate hain jo kam na jaez hai use tamashe ke taur par dekhne jana bhi gunah hai.
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 499
Mazeed ek maqam par irshad farmate hain alam taziye mehandi unki mannat , gasht chadhawa dhhol tashe marsiye matam masnui karbala ko jana auraton ka taziye dekhne ko nikalna ye sab baten haram o gunah o najaez o mana hain
📝
Fatawa Razviya
Jild 24 Page 498
Dosto Kya Ab Bhi Aap Ye Sb Kaam Karoge?? ❓
Kya Hum Aala Hazrat Ke In Farmano Ko Nahi Maan Sakte??
Dosto ab Bhi Waqt Hai Khud Ko Aur Apne Ghar Walo Ko In Bid.Ato Se Door Karlo
Allah Tabarak W Taala Ahle Sunnat W Jamaat Ke Maan Ne Walo Ko In Sab Kaamo Se Door Rahne Ki Tawfeeq Ata Farmaye
AaaaMeeeN Summa AaaaMeeeN
My Youtube Channel 👇
please Subscribe Karle
Sirf taziya aur rakhe tab ham matam noha dhol kuch nhi karenge ho jaiz h
ReplyDelete