KHATNA KA BAYAAN
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
بسْــــــــــــــــــمِ ﷲِالرَّحْمَن الرَّحِیم
ﺍﻟﺼـــــــــــــــــــﻠﻮﺓ ﻭﺍﻟــــــــــــــــــﺴﻼﻡ ﻋﻠﻴﻚ ﯾﺎﺭﺳﻮﻝ ﷲ ﷺ
Isi Liye Bahut Laug Ise Musalmani Bhi Kahte Hain
Rasoolallah Sallallahu Alayhi W Sallam Ne Farmaya Ke Hazrat Ibraheem Khaleelullah Alayhis Salaalm Ne Apna Khatna Kiya Us Waqt Unki Umar Sharif Assi 80 Baras Ki Thi
Khatna Kis Umar Me Hona Chahiye??
Khatna Ki Muddat 7 Saal Se 12 Saal Ki Umar Tak Hai
Aur Ba.az Ulma Ne Ye Farmaya Ke Paidaaish Ke Saatwe.n Din Baad Khatna Karna Chahiye
Masla
Khatna Kahan Tak Honi Chahiye??
Ladke Ki Khatna Karaai Gayi Magar Poori Khaal Nahi Kati
Agar Nisf Se Jaaid (Aadhe Se Jyada) Kat Gayi To Khatna Ho Gayi Baaqi Ko Kaatna Zaroori Nahi Aur Agar Nisf Ya Nisf Se Jaaid
( Aadhi Ya Aadhi Se Jyada) Baaqi Rah Gayi To Nahi Huyi Yaani Phir Se Honi Chahiye
Bodha No Muslim Khatna Kaise Karaaye???
MaslaBoodha Aadmi Musharf Ba Islam Huaa Jisme Khatna Karane Ki Taaqat Nahi To Khatna Karane Ki Haazat Nahi Hai
Masla
Baligh Shakhs Musharf Ba Islam Huaa (Islam Qubool Kiya) Agar Wo Khud Hi Apni Khatna Kar Sakta Hai To Apne Haath Se Karle Warna Nahi Haan Agar Mumkin Ho Ke Koie Aurat Khatna Karna Jaanti Hai To Us Se Nikah Karke Us Se Khatna Karwa Le
Ladke Ki Khatna Karwana Kis Ke Zimme Hai??
Khatna Karwana Baap (Father) Ka Kaam Hai Wo Na Ho To Uska Wassi Uske Baad Dada Phir Uske Wassi Ka Martaba Hai Mamu Aur Chcha Ya Unke Wassi Ka Ye Kaam Nahi Haan Agar Bachcha Unki Tarbiyat o Ayaal Me Ho To Kar Sakte HainReference
Qanoone Shariyayt
Page 469-470
No comments:
Post a Comment