Question/सवाल/سوال/Sawal

Name

Email *

Message *

Monday, 18 July 2016

Achcho Ke Saath Baithna Buro Se Bachna

ACHCHO KE SAATH BAITHNA BURO SE BACHNA


Aaj Hum Jaante Hain Is Post Me Ke Hume Kiske Saath Baithna Chahiye Aur Kiske Saath Na Baithna Chahiye

Aadmi Kiske Saath Uthe Baithe??

Rasoolallah Sallallahu Alayhi  w Sallam Ne Farmaya Musahabat Na Karo Magar Muamin Ki Yaani Sirf Muamine Kamil Ke Paas Baitha Karo Aur Farmaya Bado Ke Saath Baitha Karo Aur Ulma Se Baate Poochha Karo Aur Ulma Se Mel Jol Rakkho

Achcha Saathi Kaun Hai???

Aur Farmaya Achcha Saathi Wo Hai Jab Tu Khuda Ko Yaad Kare To Wo Teri Madad Kare Aur Jab Tu Bhoole To Wo Yaad Dilaaye
Aur Farmaya Achcha Hamnasheen Wo Hai ke
Uske Dekhne Se Tumhe Khuda Yaad Aaye Uski Guftgu Se Tumhare Amal me Jyadati Ho Aur Uska Amal  Tumhe Aakhirat Ki Yaad Dilaaye

Achche Aur Bure Saathi Ki Misaal

Aur Farmaya Achche Aur Bure Hamnasheen Ki Misaal Jaise Mushk Ka Uthane Wala Aur Bhatti Phoonkne Wala Jo Mushk Liye Huye Hai Ya Wo Tumhe Usme Se Dega Ya Tu Us Se Khareedega Ya Tujhe Khushbu Pahunchgi
Aur Bhatti Phoonkne Wala Tere Kapde.  Jala Dega Ya Tujhe Buri Bu (Gandi Badbu) Pahunche Gi

Aur Farmaya Aise Ke Saath Na Raho Jo Tumhari Fazeelat Ka Qaail Na Ho Jaise Tum Uski Fazeelat Ke Qaail Ho Jo Tumhe Najre Hiqaarat Se Dekhta Ho Uske Saath Na Raho Ya  Ye Ke Wo Apna Haq Tumhare Zimme Jaanta Ho Aur Tumhare Haq Ka Qaail Na Ho

Allah Tabarak W Taala Hume Achcho Ke Saath Baithne Ki Aur Buro Se Bachne Ki Aur Ulma Se Mel Jol Rakhne Ki Taufeeq Ata Kare
Aur Kahne Sun Ne Se Aur Likhne Padhne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Ata Kare
Aur Allah RabbulAalameen Pyare Nabi Sallallahu Alayhi W Sallam Ki Sachchi Pakki Muhabbat Humare Seeno Me Hamesha Qaaim Rakkhe
اَللّٰہم آمین ثم آمین یا رب العالمین
Reference
Qanoone Shariyayt Page 487

No comments:

Post a Comment